Friday, April 8, 2011

Bewaqt Ko Jhunjhla kar Ro Pade

Bewaqt Ko Jhunjhla kar Ro Pade
Khokar Kabhi Use To Kabhi Paakar Ro Pade
Khushiya Hamare Paas Kaha Mustakil Rahi
Bahar Kabhi Hase To Ghar Aakar Ro Pade
Kab Tak Royenge Kisike Sog Mein Baith kar
Hum Ye Khudko Kitni Baar Samjha Kar Ro Pade

heart touching shayari

Teri aankh mein jo nami si chai hai wo mere dur hone ki gavahi hai yaad itna na kiya karo mujhe hichki le le kar meri jaan pe ban ati hai…
`
Laut Jati Hai duniya gam hamara dekhakar,
jaise Laut jati hai lehren kinara dekhkar,
tu kandha na dena mere janaze ko,
kahi fir zinda na ho Jau tera sahara dekhkar..
`
Mangi thi duaa aasiyane ki, chal padi aandhiya jamaneki.
Aapka gam to koi samajh na saka, Kyonki aapki aadat hai gamo me bhi muskurane ki …
`
Apani Apani Shakh Hai,
Apane Apane NeeD,
Na Jaane Phir Kisliye,
Bhaag Rahi Hai BheeD.
`
Aub ham kisi ki mohhabat nahi , sirf matam kharida karte hai, aub hum kisi se pyar nahi sirf muhabat mitane ka hi souda karte hai…
`
SItamgar kasme hota to, tuje apne gum ki asuo me dobaye rhata, me kisi aur ki majhab par na pahuch kar teri hi yad me koya rhata. ..
`
Lahar kitni machli, kinaro se puchiye. Rut kiti dhali, sitaro se puchiye. kya batayegi dagar , kya batayege barati, dulhan kitni siski kaharo se puchiye…

TUM AAYE TO ZINDAGI NE NAYA MOD LIYA

TUM AAYE TO ZINDAGI NE NAYA MOD LIYA
TUMNE MUJHE SAATH DIYA TO MAINE ZINDAGI KA SAATH CHOD DIYA
TUMNE MUJHE APNAYA TO ZINDAGI NE MUJHE APNANA CHOD DIYA
TUMNE PYAR KIYA TO MAINE ZINDAGI KO PYAR KARNA CHOD DIYA
TUMNE HASAYA TO ZINDAGI NE HASANA CHOD DIYA
PAR AB JAB TUM RUTH GAYE TO ZINDAGI BHI RUTH GAYI
TUMNE JO SAATH CHODA TO ZINDAGI NE BHI SAATH CHOD DIYA
AB KARE TO KYA JAB MAUT HI HO PAAS.


TUM AAYE TO ZINDAGI NE NAYA MOD LIYA

TUM AAYE TO ZINDAGI NE NAYA MOD LIYA
TUMNE MUJHE SAATH DIYA TO MAINE ZINDAGI KA SAATH CHOD DIYA
TUMNE MUJHE APNAYA TO ZINDAGI NE MUJHE APNANA CHOD DIYA
TUMNE PYAR KIYA TO MAINE ZINDAGI KO PYAR KARNA CHOD DIYA
TUMNE HASAYA TO ZINDAGI NE HASANA CHOD DIYA
PAR AB JAB TUM RUTH GAYE TO ZINDAGI BHI RUTH GAYI
TUMNE JO SAATH CHODA TO ZINDAGI NE BHI SAATH CHOD DIYA
AB KARE TO KYA JAB MAUT HI HO PAAS.



kuch udaas kuch khamosh kuch bebas see lakeerien merey haath ki

kuch udaas kuch khamosh kuch bebas see lakeerien merey haath ki?
Dhoondta Rehta hoon aksar in Lakeeron main Aik lakeer tere naam ki
Kuch maloom bhi hey Kuch dil bhi janta hey
Ke in lakeeron main koi lakeer Nahi tere naam ki
Phir bhi naa jane kion dhondta Rehta hoon
Aksar ek lakeer tere naam ki
Aik lakeer terey naam ki....

Phool se pehle khusboo ko to dekho

Phool se pehle khusboo ko to dekho,
karne se pehle kaam ko to dekho,
kisike roop mein diwana naa bano,
surat se pehle uske dil ko to dekho

Hum wo ishq hain jo dil bankar dhadakte hai,
hum wo khushbo hain jo baho mein mahakte hain,
humse pyar na karna e-zalim hum vo dard hain jo ankho
se chalakte hain

Apne pyar ko chupana chaha par chupa na sake,
diwane dil pe kabu hum pa na sake,
aaj itne karib se gujar gaye wo,
phir bhi unka hath hum tham na sake

Ikrar may shabdo ki ahmiyat nai hoti,
dil ke jazbat ki awaz nai hoti,
ankhen bayan kar deti hai dil ki dastan,
mohabbat lafzo ki mohtaz nai hoti


Mohabbat me sath to harpal hota he,
koi dikhne se hota he to koi dilse hota hai,
maza to sath tab aye yaro,
jab judai ka lamha mahsus hota hai

Gham ne hasne na diya,
zamane ne rone na diya,
is uljhano ne jine na diya,
thak ke jab sitaron se panah li,
neend aayi tho aapki yaad ne sone na diya

Kisi na kisi pe kisi ko aetbar ho jata hai,
ajnabi koi shaks yaar ho jata hai,
khubiyo se nahi hoti mohabbat bhi sadaa,
khamiyo se bhi aksar pyaar ho jata hai

Kaise kehde ki unse milne ki chahat nahi,
bekarar dil ko ab bhi rahat nahi,
bhula dete unhe bhi magar kya kare dost,
kisi ko bhulane ki is dil ko aadat nahi


Gham me hasne walo ko kabhi rulaya nahi jata,

Gham me hasne walo ko kabhi rulaya nahi jata,
lehro se pani ko hataya nahi jata,
hone wale ho jate hain khudhi dil se apne,
kisi ko kehkar apna banaya nahi jata.......


Socha tha na karenge kisi se dosti,
na karenge kisi se vaada,
par kya kare dost mila itna pyara ki karna pada dosti
ka vaada


Samja do apni yado ko,
wo bin bulaye pas aaya karti hai,
aap to dur rehkar satate ho magar,
wo pas aakar rulaya karti hai


Waqt guzarta raha par sanse thami si thi,
muskura rahe the hum,
par ankho me nami si thi,
saath hamare ye jahan tha sara,
par na jaane kyu tumhari kami si thi


Kyu dil ke mere tukde kar diye,
kyu mere aansu ko apni muskan se baha diye,
gunah kya tha mera bus chahna tumhe,
kyu meri zindagi me tune dard bhardiye